Wednesday, December 10, 2008

Us Ne Phir Pocha..

Us Ne Phir Pocha..
Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab.
Is rangeen dunya main udasi ka sabab.
Is tarha toot k chahne ka sabab.
yoon apne dil main Basane ka sabab.
har lamha us ko sochne ka sabab
apne naam se yun jorne ka sabab.
bahoon main rakhne ki tamana ka sabab.
labon se choone ki tamana ka sabab.
juda ho jaine k dar ka sabab.kho jane k dar ka sabab.
bichar jane k dar ka sabab.
bhool jane k dar ka sabab.
kya kahoon main ......
kya kehta, yeh bhi na kah pata ................K
tum meri ho bas Aur mujhay
tum se mohabat hai....

Days left behind..

sumthing is there which is left far behind....

fir mujhay mera bachpan yaad aya

kyun aj aankhon me nami si h,
jaane khali kiski kami si h...






fir mujhay mera bachpan yaad aya
rait k teele pe wo gharonda yaad aaya,
wo baarish k paani me khelna,
wo kagaz ki kashti ka daur yaad aaya..

Bhaiya se kushti,bahen ki pitaai
is hightech game parlour k daur me
wo chupan chupaai aur langdi pauva yaad aaya..

na duniya ka gham tha, na rishto ka chinta
wo khwabo ka aashiyana,khilonon ki jaageer
is aatankwaad k daur me..wo aansuo ka hathiyaar yaad aaya..

fir mujhay mera bachpan yaad aaya..