Sunday, October 6, 2013

Koi jakar usse ye puche..


Koi jakar usse ye puche..Ki kya wajah thi yun chod jaane ki..

me to yun hi al mast jiye ja rha tha..
khush tha, aas thi kisi apne k aane ki..
kya wajah thi tmhari, pyar jata kr yun adhar me chod jaane ki..

aisi halat pr haste the auro ke..
kya wajah thi yun sare aam makhool banane ki..

wo ankahe se waade the samjhne aur samjhaane k..
ankahe se waade the ruth kr manane k..
kya wajah thi yun sab tod jaane ki..

ye jaanta tha ki milna asaan nh hamara..
tmhare sapne, manzil aade th tmhare..
to fir kya wajah thi kabhi unse bada hame batane ki..

zindagi nh rukti kisi ki kisi k jaane se..
hum bh jee hi lengey..
par  har pal ayega ik sawaal,
ki jab pyar tha hi nhee,to kya wajah th jhoothi ummed jataane ki...

naye dost nayi zindagi nayi udaan mubaraq ho tumhe ..
bas ye keh de kya wajah thi yun bin kahe kch chod jaane ki..

Wednesday, October 2, 2013

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na thaa


Adeem Hashmi..

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur vo mera na tha

vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar suu
main usse mahsus kar saktaa tha chhu saktaa na tha

raat bhar us ki aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha

aks to maujud the par aks tanhaai ke the
aaina to tha magar us mein tera chehraa na tha

aaj us ne dard bhi apne alahdaa kar diye
aaj mein royaa to mere saath vo royaa na tha

ye sabhi viraaniyaan us ke judaa hone se thiin
aankh dundhalaai hui thi shahr dundhlaaya na tha

yaad karke aur bhi takleef hoti thi adeem
bhuul jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha